kuch aankhein aisi hoti hai
bemausam kaliyon ki maanoos
kisi lamha haule haule khilti hai
humne bhi ek roz dekhi thi
aisi gahri mashaal aankhein
duniya ki iis bheed me jaise
sangeen akele wo aankhein thi
yun to ab tak jitni guzri thi
bade hi khushfahmiyo me guzri thi
par wo aankhein
aye gahre sagar, aye uche aasmaan
yu laga ki meri ruuh me raasta bana jayengi
ek us saanjh ke saaye tale
baithe rahey hum der tak
dil se to ki baatein bahut
muh se kaha kuch bhi nahi
maanga khuda se raat din
tere siwa kuch bhi nahi
socha kabhi kuch bhi nahi
achha bura kuch bhi nahi
maanga khuda se raat din
tere siwa kuch bhi nahi